Naat Koi Gul Baki Rahai ga na Chaman Reh Jaye ga by Kifayat Ali Kafi

Koi Gul Baki Rahai ga na Chaman Reh Jaye ga
Per Rasool Allah ka Deen e Hassan Reh jaye ga.

Hum Safeero Baag mai Hai koi dam ka chehchaha
Bulbulai Urh Jaye Gi Suna Chaman Reh jaye ga.

Atlas o Kamkhawab ki Poshak par Nazaa na ho tum
Is Tan e Bai Jaan per Khaki Kafan reh jaye ga.

Naam e Shahan e Jahaan Mit jaye gai lekin yaha
Hashar tak Naam o Nishaan e Panjtan Reh jaye ga.

Jo Parhai ga Sahib e Lolaak k upar darood
Aag se mehfuz us ka tan badan reh jaye ga.

Sab fanaa ho jaye ga Kafi, waLekin Hashar tak
Naat e Hazrat ka Zubano per Sukhan Reh jaye ga.

Written by Shaheed e Jang e Azadi 1857 – Kifayat Ali Kafi.

Koi-Gul-Baki-Rahai-ga-na-Chaman-Reh-jaye-ga

Tagged , , , . Bookmark the permalink.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *